Mera naam hain Chalta Ram
Gaata hoon mein subah sham
Chalta Hain Bhai, Chatla Hain
Jab bhi dekhoon mein koi bura kaam
Gaata hoon mein subah sham
Chalta Hain Bhai, Chatla Hain
Naali mein behta naheen paani
Uske andar dhoondho to milti hain thaili
Khaili haath mein gaadi chalata naheen
Pata naheen kab dena pad jaye thoda sa daana
Gaata hoon mein subah sham
Chalta Hain Bhai, Chatla Hain
Karodoon ka ghotala hota hain jahaan
Aam aadmi sote hain sadkoon par vahaan
Mandir aur Masjid milte hain har nukad par
Phir bhi dharm ko leke khoon behte hain yahaan
Gaata hoon mein subah sham
Chalta Hain Bhai, Chatla Hain
Hain ghar ke daam lakhoon karoodon ke
Pisab karte hain log diwaroon pe
Jidhar dekho pul aur ghar ban rahe hain
Khade rehenge, iski koi guarantee naheen
Gaata hoon mein subah sham
Chalta Hain Bhai, Chatla Hain
Jahaann netaoon ki koi kami naheen
Dikthe hain woh har chaar-paanch saal mein
Ration card chahiye to daana do
Daana kharido to saath mein patthar muft
Gaata hoon mein subah sham
Chalta Hain Bhai, Chatla Hain
Khoon aur loot har kaheen
Par kotwaal se darte hain log yahaan par
Mantri badlte hain apne dal chutkiyoon mein
Aadat badlte naheen log apna yahaan par
Gaata hoon mein subah sham
Chalta Hain Bhai, Chatla Hain
Bhagwaan ke darja dete hain maa ko
Ladki ke janam pe rote hain log yahaan pe
Aurat ko Lakshmi, Saraswati maante hain
Sati ka riwaaz aaj bhi hain yahaan par
Gaata hoon mein subah sham
Chalta Hain Bhai, Chatla Hain
Is gaane ki dhun badlni padegi
Aaadatein, Riwazein badlni padengi
Chalta Hain Bhai, Chatla Hain
Naheen chalega, Naheen chalega